Jane kis baat ki mujhko wo saza deta
Meri hasti hui aankho ko rula deta hai
Main bhi dekhoongi tujhe mang ke us se ek din
Log kehte hai ki mango to Khuda deta hai
Mudatton ab to khabar bhi nahi aati uski
Is tarah kya koi apno ko bhula deta hai.
Kis tarah baat likhoon dil ki use wo aksar
Dosto ko mere khat pad kar suna deta hai.
Chum leta hai mere haton ko khuaboo main koi
Phool hoto se hatheli pe khila deta hai.
Samne rakh kar nigahon ke vo tasveer meri
Apne kamre ke chiragon ko bujha deta hai.
Hai zamane se alag mera maseeha Ajmal
Jab bhi milta hai koi zakham neya deta hai.

Comments