Skip to main content

Jawab e Shikwa

Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai
Par Nahi , Takat E Parwaaz Rakhti Hai

Peer E Gardu ( Khuda) Ne Kaha Sun Ke , Kahi Hai Koi
Boley Sayyarey ( Planets) Sarey Arsh E Bari ,Hai Koi
Chand Kehta Tha , Nahi , Aehle Zamee Hai Koi

Kuch Jo Samjha Mere Shikwey Ko To Rizwa ( Khuda) Samjha
Mujhe Jannat Se Nikala Hua Insaa Samjha

Aayi Awaz Gham Angez Hai Afsana Tera
Ashk E Betab Se Labrez Hai Afsana Tera
Aasma Geer Hua Nara E Mastana Tera
Kis Kadar Shokh Zaba Hai Dil E Deewana Tera

Shukr Shikwey Ko Kiya Husn E Ada Se Tuney
Hum Sukhan Kar Diya Bandey Ko Khuda Se Tuney

Hum To Mayal O Karam ( Dene Wala ) Hai ,
Koi Sawali Hi NahiRaah Dikhaye Kisey,
Reh Ravey Manzil Hi NahiTarbiyat Aam To Hai ,
Zohar E Kabil NahiJis Se Tameer Ho Aadam Ko Ye Wo Gil ( Mitti) Nahi

Koi Kabil Ho To Shane Kayi ( Badshahi Shan) Dete Hai
Dhoondney Waley Ko Duniya Bhi Nayi Dete Hai

Jisko Aata Nahi Duniya Mei Koi Fun, Tum Ho
Nahi Jis Kom Ko Parwa E Nasheman Tum Ho
Bijliya Jis Mei Ho Aasuda Wo Khirman Tum Ho
Bech Khate Hai Jo Aslab Ke Madfan( Buzurgo Ki Kabr) Tum Ho

Ho Niko Naam Jo Kabro Ki Tijarat Karke
Kya Na Bechogey Jo Mil Jaye Sanam Paththar Ke

Safha E Dehar Se Batil Ko Mitaya Kis Ne
No E Insaa Ko Gulami Se Churaya Kis Ne
Mere Kabey Ko Zabeeno Se Basaya Kis Ne
Mere Kur;Aan Ko Seene Se Lagaya Kis Ne

They To Wo Aaba Wo Tumharey Hi , Par Tum Kya Ho
Hath Per Hath Dharey Muntazir E Farda Ho

Munaffat Ek Hai Is Kom Ke Nuksaan Bhi Ek
Ek Hi Sab Ka Nabi, Deen Bhi Imaan Bhi Ek
Harm E Paak Bhi Alaah Bhi , Kur;Aan Bhi Ek
Kuch Badi Baat Thi , Hotey Jo Musalmaa Bhi Ek

Firka Bandi Hai Kahi Aur Kahi Zaatey Hai
Kya Zamaney Me Panapne Ki Yahi Batei Hai

Ja Ke Hotey Hai Masjid Me Saf E Aara To Gareeb
Zehmat E Roza Jo Kartey Hai Ganwara To Gareeb
Naam Leta Hai Koi Hamara To Gareeb
Parda Rakhta Hai Koi Tumhara To Gareeb

Um;Aara ( Ameer) Nasha E Dolat Mei Hai Gafil Hum Se
Zinda Hai Millatey Bezaa Gurba Ke Dam Se

Waa;Eez E Kom Ki Wo Pukhta Khayali Na Rahi
Bark E Tabai Na Rahi , Shola E Makali Na Rahi
Reh Gayi Rasme Azaa Rooh E Bilali Na Rahi
Falsafa Reh Gaya , Talkeen E Ghazali Na Rahi

Masjidey Marsiya Khuwa ( Sad) Hai Ki Namazi Na Rahe
Yani Wo Sahab E Ausaf E Hijazi ( Gentle Muslim) Na Rahe

Shor Hai Duniya Se Musalmaa Ho Gaye Nabood
Hum Ye Kehte Hai , They Bhi Kahi Musalmaa Mojood
Wajah Mei Tum Hi Nasari , To Tamaddun Mei Hunood
Ye Musalmaa Hai Jnhe Dekh Ke Sharmayae Yahood

Yu To Sayyed Bhi , Mirza Bhi Ho Afghan Bhi Ho
Tum Sab Kuch Ho Batao , Musalmaa Bhi Ho

Akal Hai Teri Sifar, Ishq Hai Shamsher Teri
Mere Darwesh E Khilafat Hai Jahangeer Teri
Ma Siwa Allah Ke Ley E Aag Hai Takbeer Teri
Tu Musalmaa Hai To Ye Taqdeer Teri

Ki Mohammad Se Wafa Tune To Hum Tere Hai
Ye Jaha Cheez Kya Hai Loh O Kalam Tere Hai

_Allama Iqbal

Comments

Popular posts from this blog

Sun charkhe di Mithi Mithi Kook

Sun charkhe di mithi mithi kook mahiya mainu yaad aavda mere dil vicho uthdee a hook mahiya mainu yaad aavda sun charkhe di mithi mithi koo Mere eid waala chann kado chadega allah jaane mahi kadon vede vadenga dukh daade ne te zind-dee malook mahiya mainu yaad aavda...sun charkhe di mithi mithi kook Taane marde ne aapne shareek ve likh chithi vich aun di tareek ve kaali raat vaali dange mainu shoog ve sun charkhe di mithi mithi kook Mahi aavega te khushiya manava gi, manava gee ohde raava vich akhiya bichhava gi jaan chhadiye vichhodeya ne phook sun charkhe di mithi mithi kook katta pudiya te hanju mere vaagde hun haase v nahi mainu change laagde, nahi change laagde kive bhool jaava ohde main salook mahiya mainu yaad aavda sun charkhe di mithi mithi kook

Garmi-e-Hasarat-e-Nakaam Se Jal Jaate Hain

garmi-e-hasarat-e-nakaam se jal jaate hain ham charagon ki tarah shaam se jal jaate hain bach nikalate hain agar aatih-e-sayyad se ham sholaa-e-aatish-e-gulafaam se jal jaate hain Khudanumaai to nahin shevaa-e-arabaab-e-vafaa jin ko jalanaa ho vo aaraaam se jal jaate hain shamaa jis aag main jalatii hai numaaish ke liye ham usii aag main gumanaam se jal jaate hain jab bhii aataa hai meraa naam tere naam ke saath jaane kyun log mere naam se jal jaate hain rabtaa baaham pe hamain kyaa na nahenge dushman aashanaa jab tere paigaam se jal jaataa hai _ Qteel Shifai

Gaye dinon ka suragh lekar

gaye dinon ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo ajeeb manus ajanabi tha mujhe to hairan kar gaya wo khushi ki rut ho ki gham ka mausum nazar use dhundhati hai har dam wo bu-e-gul tha ki nagma-e-jan mere to dil mein utar gaya wo wo maikade ko jaganevala wo raat ki neend udanevala na jane kya us ki jee mein aayi ki sham hote hi ghar gaya wo kuch ab sambhalane lagi hai jan bhi badal chala rang aasman bhi jo raat bhari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya wo shikastapa rah mein khada hun gaye dinon ko bula raha hun jo qafila mera hamsafar tha misl-e-gard-e-safar gaya wo bas ek manzil hai bulhavas ki hazar raste hain ahal-e-dil ki ye hi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya wo wo jis ki shane pe hath rakh kar safar kiya tune mannzilon ka teri gali se na jane q aj sar jhukaye guzar gaya wo wo hijr ki raat ka sitara wo hamnafas hamsukhan hamara sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya wo bas ek moti si chab dikhakar bas e