Skip to main content

Shikva

Kyon Ziaan kaar banun, sood faramosh rahoon?
Fikr-e-farda na karun, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon,

Naale bulbul ke sunoon, aur hama tan gosh rahoon,
Hamnawa main bhi koi gul hoon ke khamosh rahoon?

Jurrat aamoz meri taab-e-sakhun hai mujhko,
Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko.

Aye Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le,
Khu gar-e-hamd se thoda sa gila bhi sun le.

Thi toh maujood azal se hi teri zaat-e-qadim,
Phool tha zeb-e-chaman, par na pareshan thi shamim;

Shart insaaf hai, aye, sahib-e-altaf-e-amim,
Boo-e-gul phailti kis tarah jo hoti na nasim?

Hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzir,
Kahin masjood the patthar, kahin maabood shajar,

Khugar-e-paikar-e-mahsoos thi insaan ki nazar,
Maanta phir koi un-dekhe Khuda ko kyonkar?

Tujhko maaloom hai leta tha koi naam tera?
Quwwat-e-baazoo-e-Muslim ne kiya kaam tera!

Bas rahe the yahin salijuq bhi, toorani bhi,
Ahl-e-chin cheen mein, Iran mein sasaani bhi,

Isi maamoore mein aabad the Yunaani bhi,
Isi duniya mein Yahudi bhi the, Nusraani bhi,

Par tere naam pe talwar uthai kis ne,
Baat joh bigdi huyi thi woh banaayi kis ne?

The hameen ek tere maarka aaraaon mein!
Khushkion mein kabhi ladte, kabhi dariyaon mein,

Di azaanen kabhi Europe ke kaleesaaon mein,
Kabhi Africa ke tapte huye sahraaon mein.

Thi na kuchh teg zani apni hakumat ke liye,
Sar ba-kaf phirte the kya dahar mein daulat ke liye?

Qaum apni jo zar-o-maal-e-jahan par marti,
But faroshi ke iwaz but shikni kyon karti?

Naqsh tauheed ka har dil pe bithaya hum ne,
Zer-e-khanjar bhi yeh paigham sunaya hum ne.

Tu hi kah de ke ukhada dar-e-Khyber kis ne,
Shaher qaiser ka jo tha us ko kiya sar kis ne?

Tore makhluq khudawandon ke paikar kis ne?
Kaat kar rakh diye kaffaar ke lashkar kis ne?

Aa gaya ain ladaai mein agar waqt-e-namaz,
Qibla roo ho ke zamin bos hui qaum-e-Hejaz,

Ek hi saf mein khade ho gaye mahmud-o-Ayaz,
No koi banda raha aur no koi banda nawaz.

Banda-o-sahib-o-muhtaaj-o-ghani ek huye,
Teri sarkar mein pahunche toh sabhi ek huye.

Mehfil-e-kaun-o-makaan mein shar-o-shaam phire,
Mai-e-tauheed ko lekar sift-e-jam phire.

Dasht toh dasht hain, darya bhi na chhode hum ne,
Bahr-e-zulmaat mein dauda diye ghore hum ne.

Safah-e-dahar se baatil ko mitaya hum ne,
Nau-e-insaan ko ghulami se chhudaya hum ne,

Tere kaabe ko jabeenon se basaya hum ne,
Tere Qur'an ko seenon se lagaya hum ne.

Phir bhi hum se yeh gila hai, ke wafadar nahin,
Hum wafadar nahin, tu bhi toh dildar nahin!

Rahmaten hain teri aghiyar ke kashaanon par,
Barq girti hai toh bechare Musalmaanon par!

Yeh shikayat nahin, hain un ke khazane maamur,
Nahin mehfil mein jinhen baat bhi karne ka shaoor,

Qahar toh yeh hai ke kafir ko milen hoor-o-qasoor,
Aur bechaare Musalmaan ko faqt waada-e-hoor!

Taan-e-aghiyaar hai, ruswai hai, nadaari hai,
Kya tere naam pe marne ka iwaz khwari hai?

Hum toh jeete hain ke duniya mein tera naam rahe,
Kahin mumkin hai saqi na rahe, jaam rahe?

Teri mehfil bhi gayi, chahne wale bhi gaye,
Shab ki aahen bhi gayi, subah ke nale bhi gaye,

Dil tujhe de bhi gaye, apna sila le bhi gaye,
Aa ke baithe bhi na the, ke nikaale bhi gaye.

Aaye ushaaq, gaye waada-e-farda lekar,
Ab unhen dhoond chirag-e-rukh-e-zeba lekar!

Dard-e-Laila bhi wohi, Qais ka pahlu bhi wohi,
Nejd ke dasht-o-jabal mein ram-e-aahoo bhi wohi,

Ishq ka dil bhi wohi, husn ka jaadoo bhi wohi,
Ummat-e-Ahmed-e-Mursil bhi wohi, tu bhi wohi,

Phir yeh aazurdagi-e-ghair-sabab kya maani,
Apne shaidaaon pe yeh chashm-e-ghazab kya maani?

Ishq ki khair, woh pehli si ada bhi na sahi,
Jaada paimaai taslim-o-raza bhi na sahi,

Kabhi hum se, kabhi ghairon se shanasaai hai,
Baat kahne ki nahin, tu bhi toh harjaai hai.

Ahd-e-gul khatam hua, toot gaya saaz-e-chaman,
Ud gaye dalion se zamzama pardaaz-e-chaman.

Ek bulbul hai ke hai mahw-e-tarannum ab tak,
Us ke seene mein hai naghmon ka talatam ab tak.

Qumrian shaakh-e-sanober se gurezaan bhi hui,
Pattian phool ki jhad jhad ke pareshan bhi hui;

Woh purani ravishen bagh ki veeran bhi hui,
Daalian parahan-e-barg se uriaan bhi hui.

Qaid-e-mausim se tabiyat rahi aazad uski,
Kaash gulshan mein samjhta koi faryaad uski

Chaak is bulbul-e-tanha ki nawa se dil hon,
Jaagne wale isi baang-e-dara se dil hon.

Yaani phir zinda naye ahd-e-wafa se dil hon,
Phir isi bada-e-deereena ke pyaase dil hon.

Ajmi khum hai toh kya, ma'y toh Hejaazi hai meri,
Naghma Hindi hai toh kya, la'y toh Hejaazi hai meri.

Hai bajaa shaiwa-e-taslim meiN mashhoor haiN ham
Qissa-e-dard sunate haiN ke majboor haiN ham

Saaz-e-khamosh haiN, faryad se maamoor haiN ham
Naala aata hai agar lab pe, to maazoor haiN ham

_Allama Iqbaal

Comments

Popular posts from this blog

Sun charkhe di Mithi Mithi Kook

Sun charkhe di mithi mithi kook mahiya mainu yaad aavda mere dil vicho uthdee a hook mahiya mainu yaad aavda sun charkhe di mithi mithi koo Mere eid waala chann kado chadega allah jaane mahi kadon vede vadenga dukh daade ne te zind-dee malook mahiya mainu yaad aavda...sun charkhe di mithi mithi kook Taane marde ne aapne shareek ve likh chithi vich aun di tareek ve kaali raat vaali dange mainu shoog ve sun charkhe di mithi mithi kook Mahi aavega te khushiya manava gi, manava gee ohde raava vich akhiya bichhava gi jaan chhadiye vichhodeya ne phook sun charkhe di mithi mithi kook katta pudiya te hanju mere vaagde hun haase v nahi mainu change laagde, nahi change laagde kive bhool jaava ohde main salook mahiya mainu yaad aavda sun charkhe di mithi mithi kook

Garmi-e-Hasarat-e-Nakaam Se Jal Jaate Hain

garmi-e-hasarat-e-nakaam se jal jaate hain ham charagon ki tarah shaam se jal jaate hain bach nikalate hain agar aatih-e-sayyad se ham sholaa-e-aatish-e-gulafaam se jal jaate hain Khudanumaai to nahin shevaa-e-arabaab-e-vafaa jin ko jalanaa ho vo aaraaam se jal jaate hain shamaa jis aag main jalatii hai numaaish ke liye ham usii aag main gumanaam se jal jaate hain jab bhii aataa hai meraa naam tere naam ke saath jaane kyun log mere naam se jal jaate hain rabtaa baaham pe hamain kyaa na nahenge dushman aashanaa jab tere paigaam se jal jaataa hai _ Qteel Shifai

Gaye dinon ka suragh lekar

gaye dinon ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo ajeeb manus ajanabi tha mujhe to hairan kar gaya wo khushi ki rut ho ki gham ka mausum nazar use dhundhati hai har dam wo bu-e-gul tha ki nagma-e-jan mere to dil mein utar gaya wo wo maikade ko jaganevala wo raat ki neend udanevala na jane kya us ki jee mein aayi ki sham hote hi ghar gaya wo kuch ab sambhalane lagi hai jan bhi badal chala rang aasman bhi jo raat bhari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya wo shikastapa rah mein khada hun gaye dinon ko bula raha hun jo qafila mera hamsafar tha misl-e-gard-e-safar gaya wo bas ek manzil hai bulhavas ki hazar raste hain ahal-e-dil ki ye hi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya wo wo jis ki shane pe hath rakh kar safar kiya tune mannzilon ka teri gali se na jane q aj sar jhukaye guzar gaya wo wo hijr ki raat ka sitara wo hamnafas hamsukhan hamara sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya wo bas ek moti si chab dikhakar bas e