wo jo ham main tum main qaraar thaa tumhain yaad ho ke na yaad ho
vahi yaanii vaadaa nibaah kaa tumhain yaad ho ke na yaad ho
wo naye gile vo shikaayatain vo maze maze ki hikaayatain
wo har ek baat pe roothna tumhain yaad ho ke na yaad ho
koi baat aisi agar hui jo tumhaare jee ko buri lagi
to bayaan se pahale hi bhulanaa tumhain yaad ho ke na yaad ho
suno zikr hai kai saal kaa, koi vaada mujh se thaa aap kaa
wo nibaahane kaa to zikr kyaa, tumhain yaad ho ke na yaad ho
kabhi ham main tum main bhi chaah thi, kabhi ham se tum se bhi raah thi
kabhi ham bhi tum bhi the aashna, tumhain yaad ho ke na yaad ho
hue ittefaaq se gar baham, vo vafaa jataane ko dam-ba-dam
gilaa-e-malaamat-e-arqabaa, tumhain yaad ho ke na yaad ho
wo jo lutf mujh pe the beshtar, vo karam ke haath mere haath par
mujhe sab hain yaad zaraa zaraa, tumhain yaad no ki na yaad ho
kabhi baithe sab hain jo ru-ba-ru to ishaaraton hi se guftaguu
wo bayaan shauq ka baramala tumhain yaad ho ki na yaad ho
wo bigadana vasl ki raat kaa, vo na maanana kisi baat kaa
wo naheen naheen ki har aan adaa, tumhain yaad ho ki na yaad ho
jise aap ginte the aashnaa jise aap kahate the baavafaa
main vahi hoon “Momin”-e-mubtalaa tumhain yaad ho ke na yaad ho
_Momin

Comments