Skip to main content

Patta Patta, Boota Boota

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai.

Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai.

Aashiq saa to saada koi aur na hoga dunya mein,
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai.

Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaane hai.

Mehr-o-wafa-o-lutaf-o-inait, ek se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hai.

Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai.

Mir Taqi Mir

Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai.

Comments

Popular posts from this blog

Sun charkhe di Mithi Mithi Kook

Sun charkhe di mithi mithi kook mahiya mainu yaad aavda mere dil vicho uthdee a hook mahiya mainu yaad aavda sun charkhe di mithi mithi koo Mere eid waala chann kado chadega allah jaane mahi kadon vede vadenga dukh daade ne te zind-dee malook mahiya mainu yaad aavda...sun charkhe di mithi mithi kook Taane marde ne aapne shareek ve likh chithi vich aun di tareek ve kaali raat vaali dange mainu shoog ve sun charkhe di mithi mithi kook Mahi aavega te khushiya manava gi, manava gee ohde raava vich akhiya bichhava gi jaan chhadiye vichhodeya ne phook sun charkhe di mithi mithi kook katta pudiya te hanju mere vaagde hun haase v nahi mainu change laagde, nahi change laagde kive bhool jaava ohde main salook mahiya mainu yaad aavda sun charkhe di mithi mithi kook

Garmi-e-Hasarat-e-Nakaam Se Jal Jaate Hain

garmi-e-hasarat-e-nakaam se jal jaate hain ham charagon ki tarah shaam se jal jaate hain bach nikalate hain agar aatih-e-sayyad se ham sholaa-e-aatish-e-gulafaam se jal jaate hain Khudanumaai to nahin shevaa-e-arabaab-e-vafaa jin ko jalanaa ho vo aaraaam se jal jaate hain shamaa jis aag main jalatii hai numaaish ke liye ham usii aag main gumanaam se jal jaate hain jab bhii aataa hai meraa naam tere naam ke saath jaane kyun log mere naam se jal jaate hain rabtaa baaham pe hamain kyaa na nahenge dushman aashanaa jab tere paigaam se jal jaataa hai _ Qteel Shifai

Gaye dinon ka suragh lekar

gaye dinon ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo ajeeb manus ajanabi tha mujhe to hairan kar gaya wo khushi ki rut ho ki gham ka mausum nazar use dhundhati hai har dam wo bu-e-gul tha ki nagma-e-jan mere to dil mein utar gaya wo wo maikade ko jaganevala wo raat ki neend udanevala na jane kya us ki jee mein aayi ki sham hote hi ghar gaya wo kuch ab sambhalane lagi hai jan bhi badal chala rang aasman bhi jo raat bhari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya wo shikastapa rah mein khada hun gaye dinon ko bula raha hun jo qafila mera hamsafar tha misl-e-gard-e-safar gaya wo bas ek manzil hai bulhavas ki hazar raste hain ahal-e-dil ki ye hi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya wo wo jis ki shane pe hath rakh kar safar kiya tune mannzilon ka teri gali se na jane q aj sar jhukaye guzar gaya wo wo hijr ki raat ka sitara wo hamnafas hamsukhan hamara sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya wo bas ek moti si chab dikhakar bas e