Sir jiss pay na jhuk ja'ay usay dar nahi kehtay
her dar pay jo jhuk ja'ay usay sir nahi kehtay
kiya tujh ko jahan walay sitamgar nahi kehtay
kehtay to hein laikin tere moun per nahi kehtay
kaabe mein her ik sajday ko kehtay hein ibadat
maikhane mein her jaam ko sagar nahi kehtay
kaabe mein musalman ko bhi keh daite hein kaafir
maikhane mein kafir ko bhi kafir nahi kehtay
apne dil e sadchaak ko see sakta hoon
mehroom e karam ho ke ji sakta hoon
mouqoof nahi jaam pay rindi meri
saqi tere ghussay ko bhi pe sakta hoon
mujh ko tasleem hai sharabi hoon
phir bhi fitrat ajeeb paaye hai
mein nazar say sharab peeta hoon
meri rindi bhi parsayi hai
fikr e sood o zayaan to chotay gi
minnat e een o aan to chootay gi
khair dozakh mein mai milay na milay
shaikh sahib say jaan to chootay gi
hum apni shaam ko jab nazr e jaam kartay hein
adab say hum ko sitaray salaam kartay hein
saja'ein kiyoon na isay yeh sara'ay hein dil ki
yahaan haseen musafir qayaam kartay hein
gale lagaatay hein dushman ko bhi suroor mein hum
bahut buray hein magar naik kaam kartay hein
woh jin ko daikh ke dil mein khuda ki yaad aa'ay
hum un butoon ka bara ihtaram kartay hein
hayaat baich day thoray say pyaar ke badlay
yeh kaarobaar bhi tere ghulaam kartay hein
hamein bus aik nazar say nawaaz ey saqi
hum apnay hosh o khirad tere naam kartay hein
qateel kitnay sukhan saaz hein wo sannatay
sukoot e shab mein jo hum say kalaam kartay hein
hum apni shaam ko jab nazr e jaam kartay hein...
--Qteel Shifai

Comments