Skip to main content

Posts

Gaye dinon ka suragh lekar

gaye dinon ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo ajeeb manus ajanabi tha mujhe to hairan kar gaya wo khushi ki rut ho ki gham ka mausum nazar use dhundhati hai har dam wo bu-e-gul tha ki nagma-e-jan mere to dil mein utar gaya wo wo maikade ko jaganevala wo raat ki neend udanevala na jane kya us ki jee mein aayi ki sham hote hi ghar gaya wo kuch ab sambhalane lagi hai jan bhi badal chala rang aasman bhi jo raat bhari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya wo shikastapa rah mein khada hun gaye dinon ko bula raha hun jo qafila mera hamsafar tha misl-e-gard-e-safar gaya wo bas ek manzil hai bulhavas ki hazar raste hain ahal-e-dil ki ye hi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya wo wo jis ki shane pe hath rakh kar safar kiya tune mannzilon ka teri gali se na jane q aj sar jhukaye guzar gaya wo wo hijr ki raat ka sitara wo hamnafas hamsukhan hamara sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya wo bas ek moti si chab dikhakar bas e
Recent posts

Nanhi Pujaran

ek nanhi munni si pujaaran patli baaheN, patli gardan bhor bhaye mandir aayi hai aayi nahin hai, maa laayi hai vaqt se pahle jaag uthi hai neend bhi aankhoN meN bhari hai Thori tak laT aayii hui hai yuunhi sii lahraai hui hai aaNkhoN meN taaroN ki chamak hai mukhRe pe chaandi ki jhalak hai kaisi sundar hai, kyaa kahiye nanhi si ek Sitaa kahiye dhuup charhe taaraa chamkaa hai patthar par ek phool khilaa hai chaand kaa Tukraa phuul ki Daali kamsin seedhi bholi-bhaali kaan mai chaandi ki baali hai haath meN peetal ki Thaali hai dil meN lekin dhyaan nahi hai puujaa kaa kuch gyaan nahi hai kaisi bholi aur seedhi hai mandir ki chhat dekh rahi hai maa barh kar chuTki leti hai chupke chupke hans deti hai hansnaa ronaa uskaa mazhab usko puujaa se kyaa matlab Khud to aayii hai mandir mai man uskaa hai guriyaa-ghar mai

Dil-e-Khoon_gashtaa-e-jafaa pe kahin

dil-e-Khoon_gashtaa-e-jafaa pe kahin ab karam bhi giraan na ho jaaye tere biimaar kaa Khudaa haafiz nazr-e-chaaraagaraan na ho jaaye ishq kyaa kyaa n aafatain Dhaaye husn gar maharbaan na ho jaaye mai ke aage ghamon kaa koh-e-giran ek pal main dhuaan na ho jaaye phir 'Majaz' in dinon ye Khataraa hai dil halaak-e-butaan na ho jaaye

Dard minnat_kash-e-dawa na huaa

dard  minnat_kash-e-dawa  na  huaa maiN na achchaa huaa, bura na huaa jama karate ho kyoN raqeeboN ka? ik  tamaasha  huaa  gila na  huaa ham kahaaN qismat aazmaane jaayaiN? too hee jab KHanjar aazma  na huaa kitne sheereeN haiN tere lab,ki raqeeb gaaliyaaN khaake be_maza na  huaa hai  KHabar garm  unke  aane kee aaj hee ghar meiN boriya na huaa! kya woh namrood kee KHudaaee thee bandagee meiN tera bhala  na huaa jaan dee, dee  huee usee  ki thee haq to ye hai ke haq adaa na huaa zaKHm gar dab gaya, lahoo na thama kaam  gar  ruk  gaya  rawa na huaa rahzanee hai  ki dil_sitaanee  hai? leke dil, dil_sitaaN  rawa na huaa kuchch to paDhiye ki log kehte haiN Aaj  'GHalib'  GHazalsara na  huaa"

Baazicha-e-atfaal hai duniya mere aage...

Baazicha-e-atfaal hai duniya mere aage... Hota hai shab-o-rozz tamasha mere aage...  Ek khel hai aurang-e-Sulemaa'n mere nazdeek... Ek baat hai ejaaz-e-Maseeha mere aage... Hota hai nehaa'n gard me sahra mere hote... Ghista hai jabee'n khaak pe dariya mere aage... Mat poochh k kya haal hai mera tere peechhe... Tu dekh k kya rang hai tera mere aage... Nafrat ka gumaa'n guzre hai,, main rashk se guzra... Qkar kahun,, lo naam na unka mere aage... Eemaa'n mujhe roke hai to khenche hai mujhe kufr... Kaaba mere peechhe hai,, kaleesa mere aage... Aashiq hun pa mashooq-farebi hai mera kaam... Majnu ko bura kehti hai Laila mere aage... Khush hote hain pr wasl me yun mar nhii jate... Aayi shab-e-hijraa'n ki tamanna mere aage... Go hath ko jumbish nhii aankho me to dam hai... Rehne do abhi saghar-o-meena mere aage... Hum'pesha-o-Hum'mashrab-o-Humraaz hai mera... GHALIB ko bura Q kaho achcha mere aage....?? -Mirza Ghalib

Jahan Tera Naqsh-e qadam Dekhte Hain

JahaN tera naqsh-e qadam dekhTe haiN Khiya'baN khiya'baN haram dekhTe haiN Dil aashuftagaN khaal-e kunj-e dahaN k Suvai'daa meiN sair-e adam dekhTe haiN Tere sarv-qamat se, aik qaad-e aadam QayamaT ke fitNe ko, kamm dekhTe haiN Tamasha kar ai mehv-e aaeena'daaRi Tujhe kis tamaNa se hum dekhTe haiN Mirza "Ghalib" Tamasha-e daiR-o-haRam dekhTe haiN Tujhe har bahaNe se hum dekhTe haiN HumeiN chashm-e biina dikhaTii hai sab kuch Voh aanDhe haiN, jo jaam-e jamm dekhTe haiN GhaNimaT hai chashm-e tagahfuk bhi uNKi Bhut dekhTe haiN jo kamm dekhTe haiN Nah imaaN-e khva'hish, nah izhar-e matlab Mere muNh ko ahl-e karam dekhTe haiN "Daagh" Dehlvi

NuktaaCheen Hain Gham-e-Dil

nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane kya bane baat jahaaN baat banaaye na bane maiN bulaata to hooN usko magar 'ei jazba-e-dil uspe ban jaaye  kuchch 'eisee ki bin aaye na bane khel samjha hai kaheeN choD na de, bhool na jaay kaash ! yooN bhee ho ki bin mere sataaye na bane maut kee raah na dekhooN ki bin aaye na rahe tumko chaahooN ki na aao, to bulaaye na bane -Ghalib