Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2008

Jawab e Shikwa

Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai Par Nahi , Takat E Parwaaz Rakhti Hai Peer E Gardu ( Khuda) Ne Kaha Sun Ke , Kahi Hai Koi Boley Sayyarey ( Planets) Sarey Arsh E Bari ,Hai Koi Chand Kehta Tha , Nahi , Aehle Zamee Hai Koi Kuch Jo Samjha Mere Shikwey Ko To Rizwa ( Khuda) Samjha Mujhe Jannat Se Nikala Hua Insaa Samjha Aayi Awaz Gham Angez Hai Afsana Tera Ashk E Betab Se Labrez Hai Afsana Tera Aasma Geer Hua Nara E Mastana Tera Kis Kadar Shokh Zaba Hai Dil E Deewana Tera Shukr Shikwey Ko Kiya Husn E Ada Se Tuney Hum Sukhan Kar Diya Bandey Ko Khuda Se Tuney Hum To Mayal O Karam ( Dene Wala ) Hai , Koi Sawali Hi NahiRaah Dikhaye Kisey, Reh Ravey Manzil Hi NahiTarbiyat Aam To Hai , Zohar E Kabil NahiJis Se Tameer Ho Aadam Ko Ye Wo Gil ( Mitti) Nahi Koi Kabil Ho To Shane Kayi ( Badshahi Shan) Dete Hai Dhoondney Waley Ko Duniya Bhi Nayi Dete Hai Jisko Aata Nahi Duniya Mei Koi Fun, Tum Ho Nahi Jis Kom Ko Parwa E Nasheman Tum Ho Bijliya Jis Mei Ho Aasuda Wo Khirman Tum Ho Bech Khate Hai

Shikva

Kyon Ziaan kaar banun, sood faramosh rahoon? Fikr-e-farda na karun, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon, Naale bulbul ke sunoon, aur hama tan gosh rahoon, Hamnawa main bhi koi gul hoon ke khamosh rahoon? Jurrat aamoz meri taab-e-sakhun hai mujhko, Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko. Aye Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le, Khu gar-e-hamd se thoda sa gila bhi sun le. Thi toh maujood azal se hi teri zaat-e-qadim, Phool tha zeb-e-chaman, par na pareshan thi shamim; Shart insaaf hai, aye, sahib-e-altaf-e-amim, Boo-e-gul phailti kis tarah jo hoti na nasim? Hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzir, Kahin masjood the patthar, kahin maabood shajar, Khugar-e-paikar-e-mahsoos thi insaan ki nazar, Maanta phir koi un-dekhe Khuda ko kyonkar? Tujhko maaloom hai leta tha koi naam tera? Quwwat-e-baazoo-e-Muslim ne kiya kaam tera! Bas rahe the yahin salijuq bhi, toorani bhi, Ahl-e-chin cheen mein, Iran mein sasaani bhi, Isi maamoore mein aabad the Yunaani bhi, Isi duniya mein Yahudi bhi the, Nusraani

Ab Mere Paas Tum Aayee Ho

ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho maine maana ke tum ik paikar-e-raanaee ho chaman-e-daher mein rooh-e-chamanarayee ho tallat-e-meher ho firdaus ki barnai ho bint-e-mehtaab ho gardoo se utar aayee ho mujhse milne mein abandesha-e-ruswaayee hai maine khud apne kiye ki ye saza paayee hai ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho un dino mujpe qayamat ka junoon taari thaa sar pe sarshaari-o-ishrat ka junoon taari thaa maahpaaron se mohabbat ka junoon taari thaa shehri yaaron se raqabat ka junoon taari thaa bistar-e-makhmal-o-sanjaab thee duniya meri ek rangeen-o-haseeN khwaab thee duniya meri kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar meri fariyaad-e-jigar doz mera lala-e-zaar shiddhat-e-kard mein doobi huyee meri guftaar main ke khud apne mazak-e-tarabgee ka shikaar wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahan se laaoon ab mein wo zazba-e-masoom kahan se laaoon ab mere pass tum aayee ho to kya aayee ho _Majaz
agar na zohro-jabeenoN ke darmayaN guZre to fir ye kaise kaTe zindagi kahaN guzre muJhe ye waheM raha muddataoN ke zurrate saur kahiN na khaatir-e-maasooM par gaRaaN guzre khata muaaf zamaane se badguma hokar teri wafa pe bhi kya kya hame' guma guzre muJhe tha shiKwa-e-hiJraaN ke ye hua mehSooS mere kareeb se hokar wo naagahaaN guzre _ Jigar

Alvida

ऐ मलिहाबाद के रंगीं गुलिस्तां अलविदा अलविदा ऐ सरज़मीन-ए-सुबह-ए-खन्दां अलविदा अलविदा ऐ किशवर-ए-शेर-ओ-शबिस्तां अलविदा अलविदा ऐ जलवागाहे हुस्न-ए-जानां अलविदा तेरे घर से एक ज़िन्दा लाश उठ जाने को है आ गले मिल लें कि आवाज़-ए-जरस आने को है ऐ मलीहाबाद के रंगीं गुलिस्तां अलविदा हाय क्या क्या नेमतें मिली थीं मुझ को बेबहा यह खामोशी यह खुले मैदान यह ठन्डी हवावाए, यह जां बख्श गुस्तां हाए रंगीं फ़िज़ा मर के भी इनको न भूलेगा दिल-ए-दर्द आशना मस्त कोयल जब दकन की वादियों में गायेगी यह सुबुक छांव बगूलों की बहुत याद आएगी ऐ मलीहाबाद के रंगीं गुलिस्तां अलविदा कल से कौन इस बाग़ को रंगीं बनाने आएगा कौन फूलों की हंसी पर मुस्कुराने आएगा कौन इस सब्ज़े को सोते से जगाने आएगा कौन इन पौधों को सीने से लगाने आयेगा कौन जागेगा क़मर के नाज़ उठाने के लिये चांदनी रात को ज़ानों पर सुलाने के लिये ऐ मलीहाबाद के रंगीं गुलिस्तां अलविदा आम के बाग़ों में जब बरसात होगी पुरखरोश मेरी फ़ुरक़त में लहू रोएगी चश्म-ए-मैफ़रोश रस की बूंदें जब उडा देंगी गुलिस्तानों के होश कुन्ज-ए-रंगीं में पुकारेंगी हवाएं ‘जोश जोश’ सुन के मेरा नाम मौसम ग़मज़दा हो जाएगा एक
तस्कीन-ए-दिल-ए-महज़ू न हुई वो सई-ए-क़रम फ़रमा भी गये, उस सई-ए-क़रम का क्या कहिये बहला भी गये तड़पा भी गये, एक अर्ज़-ए-वफ़ा भी कर न सके कुछ कह न सके कुछ सुन न सके, यहां हम ने ज़बां ही खोले थी वहां आंख झुकी शरमा भी गये, आशुफ़्तगी-ए-वहशत की क़सम हैरत की क़सम हसरत की क़सम, अब आप कहे कुछ या न कहे हम राज़-ए-तबस्सुम पा भी गये, रूदाद-ए-ग़म-ए-उल्फ़त उन से हम क्या कहते क्योंकर कहते, एक हर्फ़ न निकला होठों से और आंख में आंसू आ भी गये, अरबाब-ए-जुनूं पे फ़ुर्कत में अब क्या कहिये क्या क्या गुज़रा, आये थे सवाद-ए-उल्फ़त में कुछ खो भी गये कुछ पा भी गये, ये रन्ग-ए-बहार-ए-आलम है क्या फ़िक़्र है तुझ को ऐ साक़ी, महफ़िल तो तेरी सूनी न हुई कुछ उठ भी गये कुछ आ भी गये, इस महफ़िल-ए-कैफ़-ओ-मस्ती में इस अन्जुमन-ए-इरफ़ानी में, सब जाम-ब-कफ़ बैठे रहे हम पी भी गये छलका भी गये, _Majaaz