Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2016

Baazicha-e-atfaal hai duniya mere aage...

Baazicha-e-atfaal hai duniya mere aage... Hota hai shab-o-rozz tamasha mere aage...  Ek khel hai aurang-e-Sulemaa'n mere nazdeek... Ek baat hai ejaaz-e-Maseeha mere aage... Hota hai nehaa'n gard me sahra mere hote... Ghista hai jabee'n khaak pe dariya mere aage... Mat poochh k kya haal hai mera tere peechhe... Tu dekh k kya rang hai tera mere aage... Nafrat ka gumaa'n guzre hai,, main rashk se guzra... Qkar kahun,, lo naam na unka mere aage... Eemaa'n mujhe roke hai to khenche hai mujhe kufr... Kaaba mere peechhe hai,, kaleesa mere aage... Aashiq hun pa mashooq-farebi hai mera kaam... Majnu ko bura kehti hai Laila mere aage... Khush hote hain pr wasl me yun mar nhii jate... Aayi shab-e-hijraa'n ki tamanna mere aage... Go hath ko jumbish nhii aankho me to dam hai... Rehne do abhi saghar-o-meena mere aage... Hum'pesha-o-Hum'mashrab-o-Humraaz hai mera... GHALIB ko bura Q kaho achcha mere aage....?? -Mirza Ghalib

Jahan Tera Naqsh-e qadam Dekhte Hain

JahaN tera naqsh-e qadam dekhTe haiN Khiya'baN khiya'baN haram dekhTe haiN Dil aashuftagaN khaal-e kunj-e dahaN k Suvai'daa meiN sair-e adam dekhTe haiN Tere sarv-qamat se, aik qaad-e aadam QayamaT ke fitNe ko, kamm dekhTe haiN Tamasha kar ai mehv-e aaeena'daaRi Tujhe kis tamaNa se hum dekhTe haiN Mirza "Ghalib" Tamasha-e daiR-o-haRam dekhTe haiN Tujhe har bahaNe se hum dekhTe haiN HumeiN chashm-e biina dikhaTii hai sab kuch Voh aanDhe haiN, jo jaam-e jamm dekhTe haiN GhaNimaT hai chashm-e tagahfuk bhi uNKi Bhut dekhTe haiN jo kamm dekhTe haiN Nah imaaN-e khva'hish, nah izhar-e matlab Mere muNh ko ahl-e karam dekhTe haiN "Daagh" Dehlvi

NuktaaCheen Hain Gham-e-Dil

nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane kya bane baat jahaaN baat banaaye na bane maiN bulaata to hooN usko magar 'ei jazba-e-dil uspe ban jaaye  kuchch 'eisee ki bin aaye na bane khel samjha hai kaheeN choD na de, bhool na jaay kaash ! yooN bhee ho ki bin mere sataaye na bane maut kee raah na dekhooN ki bin aaye na rahe tumko chaahooN ki na aao, to bulaaye na bane -Ghalib