Skip to main content

Posts

Showing posts from 2007
hazaaro.n Khvaahishe.n aisii ki har Khvaaish pe dam nikale bahut nikale mere armaa.N lekin phir bhii kam nikale Dare kyuu.N meraa qaatil kyaa rahegaa usakii gardan par vo Khuu.N jo chashm-e-tar se umr bhar yuu.N dam-ba-dam nikale [chashm=eye; tar=wet; dam_ba_dam=continously] nikalanaa Khuld se aadam kaa sunate aaye hai.n lekin bahut be-aabaruu hokar tere kuuche se ham nikale [Khuld=Paradise; be-aabaruu=disgrace; kuuchaa=street] bharam khul jaaye zaalim tere qaamat kii daraazii kaa agar is turraa-e-purapech-o-Kham kaa pech-o-Kham nikale [qaamat=stature; daraazii=length/delay; turra=ornamental tassel worn in the turban] [pech-o-Kham=curls in the hair] magar likhavaaye koii usako Khat to hamase likhavaaye huii subah aur ghar se kaan par rakkhar qalam nikale huii is daur me.n ma.nsuub mujhase baadaa-ashaamii phir aayaa vo zamaanaa jo jahaa.N se jaam-e-jam nikale [ma.nsuub=association, baada_aashaamee=havign to do with drinks] huii jinase tavaqqo Khastagii kii daad paane
jab bhii chuum letaa huN un hasiiN aaNkhoN ko sau chiraaGh andhere meN jhilmilaane lagte haiN Khushk Khushk hoNTon meN jaise dil kheNch aataa hai dil meN kitne aa’iine TharTharaane lagte haiN phuul kyaa, shiGhuufe kyaa, chaaNd kyaa, sitaare kyaa sab raqiib qadmoN par sar jhukaane lagte haiN zehn jaag uThtaa hai, ruuh jaag uThtii hai naqsh aadmiyaat ke jagmagaane lagte haiN lau nikalne lagtii hai mandiroN ke siine se devtaa fazaaoN meN muskuraane lagte haiN raqs karne lagtii haiN muurateN Ajanta kii muddatoN ke lab-bastaa Gaar gaane lagte haiN phuul khilne lagte haiN ujRe ujRe gulshan meN tishnaa-tishnaa getii (?) par abr chhaane lagte haiN lamha bhar ko ye duniyaa zulm chhoR detii hai lamhaa bhar ko sab patthar muskuraane lagte haiN -Kaifi Aazmi
Jane kis baat ki mujhko wo saza deta Meri hasti hui aankho ko rula deta hai Main bhi dekhoongi tujhe mang ke us se ek din Log kehte hai ki mango to Khuda deta hai Mudatton ab to khabar bhi nahi aati uski Is tarah kya koi apno ko bhula deta hai. Kis tarah baat likhoon dil ki use wo aksar Dosto ko mere khat pad kar suna deta hai. Chum leta hai mere haton ko khuaboo main koi Phool hoto se hatheli pe khila deta hai. Samne rakh kar nigahon ke vo tasveer meri Apne kamre ke chiragon ko bujha deta hai. Hai zamane se alag mera maseeha Ajmal Jab bhi milta hai koi zakham neya deta hai.
Bahut khoobsurat ho tum Bahut khoobsurat ho tum Kabhi main jo keh do mohabbat hai tum se Tu mujhko khudaya galat mat samajhna ke meri zaroorat ho tum Bahut khoobsurat ho tum Hai phoolo ki dali ye bahe tumahri hai khamosh jadoo nigahe tumhari jo kate hai sab apne daman main bhar loon sajaon main kaliyo se rahe tumhari nazar se zamane ki khud ko bachana Kisi aur se dekho dil na lagana Ke meri amanat ho tum Bahut khoobsurat ho tum Hai chehra tumhara ke din hai sunehra aur us par ye kali ghatao ka pehra gulabo se nazuk mehekta badan hai ye lab hai tumhare ke khilta chaman hai bakhero jo zulfe to sharmaye badal wo zahid bhi dekhe to ho jaye pagal wo pakiza murat ho tum Bahut khoobsurat ho tum Jo banke kali muskurati hai aksar shabe-e-hijar main jo rulati hai aksar jo lamho hi lamho main duniya badal de jo shayar ko de jaye pehloo ghazal ke chuupana jo chaho chupai na jaye bhulana jo chaho bhulai na jaye Wo pehli mohabbat ho tum Bahut khoobsurat ho tum

Ghazals and all....

It is for all you lovers of urdu poetry, i am here to bring you some really good stuff according to your taste. main chahta bhi yahi tha wo bewafa nikle use samajhne ka koi to silsila nikle..... ( waseem barellavi)